Wednesday, 1 August 2012

TAAR TAAR


taar taar pairahan hain bhar gayi hai buu-e-dost
Misle tasweer nihaali mai huun ya pahlu-e-dost?


Hijr ki shab ho gayi roz-e-qayamat se daraaz
dosh se neeche nahin utre abhi gesu-e-dost


Daagh-e-dil par khair guzri to ghanimat jaaniye
Dushman-e-jaan hain jo aankhen dekhti hain soye dost


Farsh-e-gul bistar tha apna, khaak par sote hain ab
Khisht zer-e-sar nahin yaa takia tha zaanu-e-dost


yaad karke apni barbaadi ko rote hain hum
jab udaati hain hawaaein tund khaak-e-koo-e-dost


Is balay-e-jaal se AAtish dekhiye kyunkar nibhe
Dil siwa sheeshe se nazuk, dil se nazuk khoo-e-dost


By Haider Ali Aatish


No comments:

Post a Comment