Wednesday, 1 August 2012

HASTI E TALAASH E YAAR


Adam se jaanib-e-hasti talaash-e-yaar mein aae,
Khuli aankhen tau dekha, waadi-e-pur khaar mein aae.


Yaqin hal kuchh na kuchh rahmat mizaaj-e-yaar mein aae,
Adafi se haath baandhe hum tere darbaar mein aae.


Agar bakhshe zahe rehmat, na bakhshe tau shikaait kya,
Sar-e-taslim khum hal, jo mizaaje-yaar mein aae.


Na puchho ahl-e-mahshar, hum se diwaana ki be-taabi,
Yahaan majma suna, yaan bhi talaash-e-yaar mein aae.


Adam ke jaane waalo, bazm-e-jaanaan tak agar pahuncho,
Hamen bhi yaad rakhna, zikar jo darbaar mein aae.


Na maango bosa, ai Aatish, begaare munh woh baithe ham,
Qayaamat hai agar ha! abroo-e-khamdaar mein aae.


No comments:

Post a Comment