Wednesday, 1 August 2012

BAZU-E-QAATIL


Ae sanam! Jis ne tujhe chand si soorat di hai
Usi Allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai


Tegh be aab hai bazu-e-qaatil kamzor
Kuch giran jaani hai maut befursat di hai


Koi akseer ghazi dil nahi rakhti aesa
Khaaksari nahi di hai daulat di hai


Furqat-e-yaar mein ro ro ke basar karta hoon
Zindagi mujhe kya di hai museebat di hai


Yaad-e-mehboob faramosh na huye Ae dil!
Husn-e-neeyat ne mujhe ishq si naimat di hai


Gosh paida kiye sunne ko tera zikr-e-jamal
Dekhne ko tere aankhon mein basarat di hai


Lutf-e-dilbastagi-e-ashiq-e-shaida na pooch!
Do jahaan se is asseeri ne furaghat di hai


Kamar-e-yaar ke mazmun ko baandh aaye ‘Aatish’
Zulf khuban si mere gham ko tabiyat di hai



No comments:

Post a Comment