Saturday, 25 August 2012

AAO NA MAA


Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya


Tuesday, 14 August 2012

MAA KI MAMTA



Bina bole jo
samaj le meri man ki baat ,

Mere dukh
mein mere sukh mein.

Jo hai har pal sath,

Sabse ache
sabse sache, sabse ache sabse sache,

Lori gaate haath ,

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Choti gundhe bindiya lagaye, Ungli pakar k chalna sikhayee,

Hasta aangan bajate kangan, Vo he tan mein saara jeevan ,

Sardi mein vo dhoop ki chaddar, Sardi mein vo dhoop ki chaddar

Garmi mein barsaat

Ho MAA tere haath,

Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Bina bole jo samaj le meri man ki baat

Annkhon mein vo sapno jaise, Har mushkil mein apno jaise

Maatha chumein sar sehlaye, Kabhi jagaye kabhi sulaye

Door bhe hokar dur nahi jo, Door bhe hokar dur nahi jo

Paas rahe din raat

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Bina bole jo samaj le meri man ki baat

Mere dukh mein mere sukh mein

Jo hai har pal sath

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.



Maa Kahne Ko Ek Word,


Maa Sunne Ko Ek Lafz,


Maa Dekhne Ko Ek Farz,


Maa Pane Ko Ek Manjil,


Maa Nibhane Ko Ek Rista,


Maa Chhupne Ko Ek Safe Place,


Maa Bolne Ko Ek Ehsas,


Maa Bhagwan Ki Ek Murt,


Maa Dil Ki Ek Aawaj


Maa Ek Pavitr Rista,


Maa Vo H Jo Jivan H,


Maa Vo H Jo Duniya H,


Maa To Maa H.


MAA I Love U MAA


Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,


Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,


Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,


Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,


Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,


Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,


Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,


Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…


Sunday, 12 August 2012

O...MAA


Shayari for Mother
Har pal me Khushi deti hai Maa,
Apni Zindagi se Jeevan deti hai Maa,
Bhagvaan kya hai Maa ki Puja karo Janaab,
Kyuki Bhagvaan ko bhi Janam deti hai Maa…




MERI MAA


Maa
Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai,
Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi,
Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai…




Friday, 10 August 2012

hum gazal mein tera charcha nahi hone dete


teri yadon ko bhi rusava nahi hone dete


kuch to hum khud bhi nahi chahate shoharat apni


aur kuch log bhi aisa nahi hone dete


azamaten apne charagon ke bachane ke liye


hum kisi ghar mein ujala nahi hone dete








Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko

Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.


Monday, 6 August 2012


chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n
vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n


jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n
un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n


ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii me.n jokhim hai
chaaro.n khuu.NT baguule ban kar ghor andhere phirate hai.n


jin ke shaam-badan saaye me.n meraa man sustaayaa thaa
ab tak aa.Nkho.n ke aage vo baal ghanere phirate hai.n


ko_ii hame.n bhii ye samajhaa do un par dil kyo.n riijh gayaa
tiikhii chitavan baa.Nkii chhab vaale bahutere phirate hai.n


is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n


log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
'Abid' ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hai.n


JUDAAI

Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,
Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha,

Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke,
Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha,

Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye,
So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha,

Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate,
Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha,

Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin,
Jo tum bichre tu phir mera bikhar jana zaruri tha.


MERI TANHAAI

Dil ko todne keliye nayi umeed deta hei kyun
Jo paraya hi karna hei toe apna kehta hei kyun
Mei, meri tanhaai aur chaand raaton ka mera safar

Tu humsafar nahi toe saath mere rehta hei kyun

Meri sukhi aankhon ko samunder mein dubaane wale
Jo ruuk nahi sakta hei toe phir thehrta hei kyun

Ajnabi hei itni meri jaat jo tujhse toe bata de
Naam mera tu har subah uth ke phir leta hei kyun

Mere sikwe sikayat sabh kuch tujh se hei wa-basta
Jo ishq hi nahi toe meri aankhon se behta hei kyun


Friday, 3 August 2012


Ek hi tamanna rahi ek zamane se,

bane hamare bhi apne banane se,


dunia ki nazar aur hamari nazar me itna antar kyu raha.

koi hame samajha hi nahi hamare sachche dostane se…


Thursday, 2 August 2012

KHOBSURAT SHAAM

Kabhi kisi khubsurat shaam ko aisse hum ek dusre mei kho jaaye

Tere seene pe mera sar ho aur tere aaghosh mei mere armaan so jaaye

Na subah ki koi fikr ho na raat ke andhero ka hosh reh paaye Jaana

Kuch iss tarah se hum ek dusre ki panaahon mein madhosh ho jaaye


CHAND AUR SITARE


chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n
vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n


jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n
un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n


ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii me.n jokhim hai
chaaro.n khuu.NT baguule ban kar ghor andhere phirate hai.n


jin ke shaam-badan saaye me.n meraa man sustaayaa thaa
ab tak aa.Nkho.n ke aage vo baal ghanere phirate hai.n


ko_ii hame.n bhii ye samajhaa do un par dil kyo.n riijh gayaa
tiikhii chitavan baa.Nkii chhab vaale bahutere phirate hai.n


is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n


log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
'Abid' ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hai.n


Wednesday, 1 August 2012

RU BA RU


Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte

Ham Aur Bulbul-E-Betaab Guftagu Karte


Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khub Hua

Zabaan-E-Gair Se Kya Shar Ki Aarzu Karte


Meri Tarah Se Maah-O-Mahar Bhi Hain Aawara

Kisi Habib Ko Ye Bhi Hain Justaju Karte


Jo Dekhte Teri Zanjir-E-Zulf Ka Aalam

Asir Hone Ke Aazad Aarzu Karte


Na Puch Aalam-E-Bargashta Taali-E-'Aatish'

Barasti Aag Main Jo Baraan Ki Aarzu Karte