Hazaar shakalein,magar ek tarah ke jazbaat,kuch surtaein mujh par jo ayaa’n hui unhi ko le kar main kuch likhne ki koshish kar raha hoon,shayad mere jazbaat un cheezo ko puri tarah bayaan na kar sakein,woh sachchai shayad main na likh sakoon magar ek koshish kar raha hoon.
Maa ! Yeh woh chehra hai jis se har koi waakif hai,yeh surat jo sab se khoobsurat hai,jiske liye yeh kaha jaata hai ki uske pairo ke neeche jannat hai,sach hai,uski mohabbat uski pyaar,uska dulaar, usey har chehre se alag la kar khada kar detaa hai.
9 mahine ek bachche ko apni kokh ke andar rakhti hai,sakht dhoop,sard raatein aur tez hawaon se bachati hai aur jab woh bachcha itna mazboot ho jaata hai ki woh in ka saamne kar sakey to woh usey duniya ki roshni mein le kar aati hai,apne aagosh mein sanbhalti hai,chati se lagaa kar usey aane waali har aandhi se mehfooz rakhti hai,uske is chehre ko main salaam na karoon to kya karoon.
Is zindagi par bahut ehsaan hai,woh shakal jo mujhe dilaasa deti hai,main baat kar raha hoon Behen ki jo ki doosri shakal usi aurat ki jo maine upar bayaan ki,Behen,jisne ungli pakda kar mujhe chalna sikhaya,mere aansu poch kar mujhe hansna seekhaya,aage badh kar naye raaste dikhaye,khawabo ko paane ke Iraade paida kiye aur manzil ka raasta isharo se samjhaya.Har waqt mere saath chalti rahi,main bada kab ho gaya iska mujhe ehsaas bhi nahi hua,kyon ki maine to khud ko uski aankho mein badhte dekha tha aur aaj main door hoon sab se.Par koi aisa pal nahi jsimein woh log nahi.Main kabhi bhool nahi sakta.
Zindagi aagey badhti hai,waqt kabhi na rukaa hai na hi rukega lekin woh shakhs jo humsafar ban jaaye woh kaha juda hota hai,Biwi,Shareeke Hayaat,Humnafas,kin lafzo se pukaru main tumko,Yeh woh pakeeza chehra hai jo Aurat ko teesre sab se alag shakal mein define karta hai.Kabhi Dost,to kabhi charagar to kabhi rehbar aur Murshid.
Har mard ki khawahish,us chehre ko apni hatheliyo mein chupaane ki,haath pakad kar chalne ke khawaab,yeh woh surat hai jo saath saath chalti hai,dhoop,baarish ya toofan in mein bhi uski himmat nahi toot ti naa hi woh dagmagati hai.Aur us waqt tak saath chalti hai jab tak hayaat baaki ho,jab tak aakhri saans chalti rehti hai.
Yeh woh teen shaklein hain jinko har insaan izzat detaa hai,waqt ke saath in mein badlaao hue lekin aaj bhi Maa wahi hai jazbaat wahi hai,Behen ki aankho mein shafqat wahi hai,Biwi ke chehre par wahi mukhlisi ki roshni baaki hai.
Phir sawaal yeh hai ki,yeh looti kyon jaati hai?
Jalaayi kyon jaati hai?
Raundi kyon jaati hai?
Agar apni Maa ko itni mohabbat,Behen ko itni Izzat aur Biwi ko itni shafqat se naawazte hai to kyon ek Aurat ki aabru rezi hoti hai????
No comments:
Post a Comment