Tuesday, 27 November 2012

Sakht rasto me bhi asan safar lagta hai.

Ye mujhe meri maa ki duaon ka asar lagta hai.

Ek muddat se meri maa nahi soi,

Jab maine ek bar kaha tha “ maa mujhe dar lagta hai”


Friday, 23 November 2012


Maa…
Jab bhi ye lafz sunte hain, khayal bas ek hi aata hai
Chehra apni Maa ka, Nazro k saamne cha jaata hai

Is jahan me ek wahi dil k sabse kareeb hoti hai
Uske anchal me chip kar, lagti duniya kitni choti hai

Maa ki kokh se jab hum is duniya me aate hain
Ghar aangan me sab, khushiyon k deep jalate hain

Maa, Ungli pakad kar hume chalna sikhati hai
Aur har kadam par, har mod par, apne bachcho ka hausla badhati hai

Jeewan ki mushkil raah me, hum dhero rishte banate hain, nibhate hain
Par Maa se jo atoot rishta hai, na kabhi bhulate hain, na kabhi mitate hain

Jis pal me jis mod par, thokar khakar, hum girte hain hum rote hain
Us har pal me har mod par, ye dard mitane ko, hum Maa ki god me sote hain

Dukh me dard me hume, sabse pehle Maa ki yad kyu aati hai?
Shayad isliye kyunki, Maa ishwar ka swaroop kehlati hai

Maa k liye uska beta har waqt chota hi hota hai
Humare Maa k pass humari har zaroorat ka samadhan hota hai

Khushali ho Maa k jeewan me, koi dukh kabhi na aaye
Dua hai meri, koi beta kabhi apni Maa ka dil na Dukhaye

Unnati ho aap sabhi ki, roshan ho aapi Maa ka naam
Duniya ki sabhi Maaon ko mera salam


Friday, 21 September 2012

AURAT



Hazaar shakalein,magar ek tarah ke jazbaat,kuch surtaein mujh par jo ayaa’n hui unhi ko le kar main kuch likhne ki koshish kar raha hoon,shayad mere jazbaat un cheezo ko puri tarah bayaan na kar sakein,woh sachchai shayad main na likh sakoon magar ek koshish kar raha hoon.
Maa ! Yeh woh chehra hai jis se har koi waakif hai,yeh surat jo sab se khoobsurat hai,jiske liye yeh kaha jaata hai ki uske pairo ke neeche jannat hai,sach hai,uski mohabbat uski pyaar,uska dulaar, usey har chehre se alag la kar khada kar detaa hai.
9 mahine ek bachche ko apni kokh ke andar rakhti hai,sakht dhoop,sard raatein aur tez hawaon se bachati hai aur jab woh bachcha itna mazboot ho jaata hai ki woh in ka saamne kar sakey to woh usey duniya ki roshni mein le kar aati hai,apne aagosh mein sanbhalti  hai,chati se lagaa kar usey aane  waali har aandhi se mehfooz rakhti hai,uske is chehre ko main salaam na karoon to kya karoon.
Is zindagi par bahut ehsaan  hai,woh shakal jo mujhe dilaasa deti hai,main baat kar raha hoon Behen ki jo ki doosri shakal usi aurat ki jo maine upar bayaan ki,Behen,jisne ungli pakda kar mujhe chalna sikhaya,mere aansu poch kar mujhe hansna seekhaya,aage badh kar naye raaste dikhaye,khawabo ko paane ke Iraade paida kiye aur manzil ka raasta isharo se samjhaya.Har waqt mere saath chalti rahi,main bada kab ho gaya iska mujhe ehsaas bhi nahi hua,kyon ki maine to khud ko uski aankho mein badhte dekha tha aur aaj main door hoon sab se.Par koi aisa pal nahi jsimein woh log nahi.Main kabhi bhool nahi sakta.
Zindagi aagey badhti hai,waqt kabhi na rukaa hai na hi rukega lekin woh shakhs jo humsafar ban jaaye woh kaha juda hota hai,Biwi,Shareeke Hayaat,Humnafas,kin lafzo se pukaru main tumko,Yeh woh pakeeza chehra hai jo Aurat ko teesre sab se alag shakal mein define karta hai.Kabhi Dost,to kabhi charagar to kabhi rehbar aur Murshid.
Har mard ki khawahish,us chehre ko apni hatheliyo mein chupaane ki,haath pakad kar chalne ke khawaab,yeh woh surat hai jo saath saath chalti hai,dhoop,baarish ya toofan in mein bhi uski himmat nahi toot ti naa hi woh dagmagati hai.Aur us waqt tak saath chalti hai jab tak hayaat baaki ho,jab tak aakhri saans chalti rehti hai.
Yeh woh teen shaklein hain jinko har insaan izzat detaa hai,waqt ke saath in mein badlaao hue lekin aaj bhi Maa wahi hai jazbaat wahi hai,Behen ki aankho mein shafqat wahi hai,Biwi ke chehre par wahi mukhlisi ki roshni baaki hai.
Phir sawaal yeh hai ki,yeh looti kyon jaati hai?
Jalaayi kyon jaati hai?
Raundi kyon jaati hai?
Agar apni Maa ko itni mohabbat,Behen ko itni Izzat aur Biwi ko itni shafqat se naawazte hai to kyon ek Aurat ki aabru rezi hoti hai????


Saturday, 25 August 2012

AAO NA MAA


Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya


Tuesday, 14 August 2012

MAA KI MAMTA



Bina bole jo
samaj le meri man ki baat ,

Mere dukh
mein mere sukh mein.

Jo hai har pal sath,

Sabse ache
sabse sache, sabse ache sabse sache,

Lori gaate haath ,

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Choti gundhe bindiya lagaye, Ungli pakar k chalna sikhayee,

Hasta aangan bajate kangan, Vo he tan mein saara jeevan ,

Sardi mein vo dhoop ki chaddar, Sardi mein vo dhoop ki chaddar

Garmi mein barsaat

Ho MAA tere haath,

Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Bina bole jo samaj le meri man ki baat

Annkhon mein vo sapno jaise, Har mushkil mein apno jaise

Maatha chumein sar sehlaye, Kabhi jagaye kabhi sulaye

Door bhe hokar dur nahi jo, Door bhe hokar dur nahi jo

Paas rahe din raat

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.

Bina bole jo samaj le meri man ki baat

Mere dukh mein mere sukh mein

Jo hai har pal sath

Ho MAA tere haath ,Ho MAA tere haath, Ho MAA tere haath.



Maa Kahne Ko Ek Word,


Maa Sunne Ko Ek Lafz,


Maa Dekhne Ko Ek Farz,


Maa Pane Ko Ek Manjil,


Maa Nibhane Ko Ek Rista,


Maa Chhupne Ko Ek Safe Place,


Maa Bolne Ko Ek Ehsas,


Maa Bhagwan Ki Ek Murt,


Maa Dil Ki Ek Aawaj


Maa Ek Pavitr Rista,


Maa Vo H Jo Jivan H,


Maa Vo H Jo Duniya H,


Maa To Maa H.


MAA I Love U MAA


Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,


Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,


Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,


Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,


Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,


Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,


Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,


Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…